baat itni bhi na thi ji se guzar jate hum
baat itnī bhī na thī jī se guzar jaate ham
ik nigāh-e-ġhalat-andāz se mar jaate ham
ab to yuuñ lagtā hai bas ġham ne jakaḌ rakkhā hai
ġham na hote to bhalā kab ke bikhar jaate ham
dopahar bhī na Dhalī aur na patthar hī kaTe
shaam hotī to kahīñ lauT ke ghar jaate ham
manzil-e-shauq hī vīrān paḌī hai kab se
varna is raah se yuuñ ḳhāk-basar jaate ham
tujh se sāvan kī ghaTā.eñ to nahīñ māñgī thiiñ
itne pyāse the ki ik buuñd se bhar jaate ham
kaisā kaisā na zamāne ne tarāshā ham ko
saḳht patthar bhī jo hote to sañvar jaate ham
dukh ke sahrāoñ meñ chīḳhoñ ne qadam rok liye
varna āñkhoñ ke samundar meñ utar jaate ham
zard chehre pe thā guzrī huī ḳhushiyoñ kā ġhubār
pyaar kī buuñd bhī paḌtī to nikhar jaate ham
na bulāte hameñ mahfil to sajā.ī hotī
lauh-e-ehsās pe dukh ban ke ubhar jaate ham
baat itni bhi na thi ji se guzar jate hum
ek nigah-e-ghalat-andaz se mar jate hum
ab to yun lagta hai bas gham ne jakaD rakkha hai
gham na hote to bhala kab ke bikhar jate hum
dopahar bhi na Dhali aur na patthar hi kaTe
sham hoti to kahin lauT ke ghar jate hum
manzil-e-shauq hi viran paDi hai kab se
warna is rah se yun KHak-basar jate hum
tujh se sawan ki ghaTaen to nahin mangi thin
itne pyase the ki ek bund se bhar jate hum
kaisa kaisa na zamane ne tarasha hum ko
saKHt patthar bhi jo hote to sanwar jate hum
dukh ke sahraon mein chiKHon ne qadam rok liye
warna aankhon ke samundar mein utar jate hum
zard chehre pe tha guzri hui KHushiyon ka ghubar
pyar ki bund bhi paDti to nikhar jate hum
na bulate hamein mahfil to sajai hoti
lauh-e-ehsas pe dukh ban ke ubhar jate hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.