baat jo purani hai usko bhul jate hain
baat jo purānī hai us ko bhuul jaate haiñ
zindagī ko ab mil kar zindagī banāte haiñ
bārishoñ ke mausam meñ bārisheñ nahīñ dekhīñ
mom ke badan vaale dhuup se nahāte haiñ
phuul badliyāñ bārish aur chāñdnī shabnam
ye sabhī taḌapte haiñ sab tumheñ bulāte haiñ
tum na.e libāsoñ meñ ḳhuub hī chamakte ho
ham to kahkashāñ ban kar dil meñ jagmagāte haiñ
ab nahīñ koī rishta aaj muddateñ guzrīñ
naam se tumhāre phir log kyoñ chiḌhāte haiñ
ruuh kā ye mailā-pan duur kar liyā hotā
aap gangā-jal se to ḳhuub hī nahāte haiñ
khal rahī yahāñ behad pyaar kī kamī 'arshad'
gaañv ke vo chaubāre aaj bhī bulāte haiñ
baat jo purani hai us ko bhul jate hain
zindagi ko ab mil kar zindagi banate hain
barishon ke mausam mein barishen nahin dekhin
mom ke badan wale dhup se nahate hain
phul badliyan barish aur chandni shabnam
ye sabhi taDapte hain sab tumhein bulate hain
tum nae libason mein KHub hi chamakte ho
hum to kahkashan ban kar dil mein jagmagate hain
ab nahin koi rishta aaj muddaten guzrin
nam se tumhaare phir log kyon chiDhate hain
ruh ka ye maila-pan dur kar liya hota
aap ganga-jal se to KHub hi nahate hain
khal rahi yahan behad pyar ki kami 'arshad'
ganw ke wo chaubare aaj bhi bulate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.