baat kab qissa-e-furqat mein zarurat ki thi
baat kab qissa-e-furqat meñ zarūrat kī thī
baat chāhat kī masāfat meñ madārat kī thī
tū ne ḳhud hī to mujhe jaan kahā thā varna
maiñ ne kab tujh se mohabbat kī samājat kī thī
maiñ ne dekhā thā tire husn kī shādābī ko
bas usī din se mohabbat kī sharārat kī thī
ab sharābor pasīne meñ hī guzregī hayāt
maiñ ne sāvan ke mahīne meñ mohabbat kī thī
maiñ ne palkoñ se sañvāre the tire bikhre nuqūsh
tū ne kyā soch ke phir mujh se adāvat kī thī
terī tasvīr tasavvur kī rehl meñ rakh kar
maiñ ne aksar tire chehre kī tilāvat kī thī
merī maano to mohabbat se chhuḌā lo dāman
phir na kahnā ki baḌī maiñ ne himāqat kī thī
baat kab qissa-e-furqat mein zarurat ki thi
baat chahat ki masafat mein madarat ki thi
tu ne KHud hi to mujhe jaan kaha tha warna
main ne kab tujh se mohabbat ki samajat ki thi
main ne dekha tha tere husn ki shadabi ko
bas usi din se mohabbat ki shararat ki thi
ab sharabor pasine mein hi guzregi hayat
main ne sawan ke mahine mein mohabbat ki thi
main ne palkon se sanware the tere bikhre nuqush
tu ne kya soch ke phir mujh se adawat ki thi
teri taswir tasawwur ki rehl mein rakh kar
main ne aksar tere chehre ki tilawat ki thi
meri mano to mohabbat se chhuDa lo daman
phir na kahna ki baDi main ne himaqat ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.