baat kahni thi kah chuke sahib
baat kahnī thī kah chuke sāhib
dil kī bātoñ meñ aa ga.e sāhib
vo jo kahte the ham-safar ḳhud ko
shaam hote hī chal diye sāhib
ab kisī ko kahāñ mayassar ham
jis ke hone the ho chuke sāhib
ek pal meñ hazār sadiyāñ haiñ
kaise kaaTe ye rat-jage sāhib
zindagī chaar din kī thī aur ham
chaar din kab ke jī liye sāhib
mere tārīk rāste par aaj
rakh gayā kaun ye diye sāhib
us ne nazar-e-karam uThā.ī aur
ham to farhād ho liye sāhib
aap achchhoñ ke saath rahiye ham
ab bure haiñ to haiñ bure sāhib
rāh-e-ulfat se nā-balad the ham
kah diyā chal to chal paḌe sāhib
baat kahni thi kah chuke sahib
dil ki baaton mein aa gae sahib
wo jo kahte the ham-safar KHud ko
sham hote hi chal diye sahib
ab kisi ko kahan mayassar hum
jis ke hone the ho chuke sahib
ek pal mein hazar sadiyan hain
kaise kaTe ye rat-jage sahib
zindagi chaar din ki thi aur hum
chaar din kab ke ji liye sahib
mere tarik raste par aaj
rakh gaya kaun ye diye sahib
us ne nazar-e-karam uThai aur
hum to farhad ho liye sahib
aap achchhon ke sath rahiye hum
ab bure hain to hain bure sahib
rah-e-ulfat se na-balad the hum
kah diya chal to chal paDe sahib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.