baat karne ki nahin sher sunane ka nahin
baat karne kī nahīñ sher sunāne kā nahīñ
raaz aisā hai ki duniyā ko batāne kā nahīñ
ab tū chāhe to mujhe chhoḌ ke jā saktā hai
maiñ tire aur kisī kaam to aane kā nahīñ
maiñ kabhī haath meñ ta.abīr liye phirtā thā
ab mire paas koī ḳhvāb dikhāne kā nahīñ
tum se bharpūr mohabbat hai vagarna mire dost
ranj tum ne jo diyā hai vo bhulāne kā nahīñ
zindagī dhuup kī mānind kaTegī 'rāshid'
tū vo saaya jo mire haath meñ aane kā nahīñ
baat karne ki nahin sher sunane ka nahin
raaz aisa hai ki duniya ko batane ka nahin
ab tu chahe to mujhe chhoD ke ja sakta hai
main tere aur kisi kaam to aane ka nahin
main kabhi hath mein tabir liye phirta tha
ab mere pas koi KHwab dikhane ka nahin
tum se bharpur mohabbat hai wagarna mere dost
ranj tum ne jo diya hai wo bhulane ka nahin
zindagi dhup ki manind kaTegi 'rashid'
tu wo saya jo mere hath mein aane ka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.