baat karte ho kya december ki
baat karte ho kyā december kī
hai alag hī adā december kī
thā suhānā baḌā november bhī
baat hī hai judā december kī
kaun sī raat achchhī lagtī hai
chāñd kahne lagā december kī
ab to yuuñ hai ki jaise jazboñ ko
lag ga.ī hai havā december kī
barf lā kar hatheliyoñ par rakh
mujh ko mehñdī lagā december kī
june kī talḳhiyāñ bhulā ke aaj
baat karte haiñ aa december kī
ek do she'r kuchh nahīñ jānāñ
aaj ġhazleñ sunā december kī
garm bāñhoñ kī shaal hī de do
chal rahī hai havā december kī
mere bistar meñ aa ke dekhe to
Tuut jaa.e anā december kī
'shāhdil' aa gayā vo pahlū meñ
hai ye saarī 'atā december kī
baat karte ho kya december ki
hai alag hi ada december ki
tha suhana baDa nowember bhi
baat hi hai juda december ki
kaun si raat achchhi lagti hai
chand kahne laga december ki
ab to yun hai ki jaise jazbon ko
lag gai hai hawa december ki
barf la kar hatheliyon par rakh
mujh ko mehndi laga december ki
june ki talKHiyan bhula ke aaj
baat karte hain aa december ki
ek do she'r kuchh nahin jaanan
aaj ghazlen suna december ki
garm banhon ki shaal hi de do
chal rahi hai hawa december ki
mere bistar mein aa ke dekhe to
Tut jae ana december ki
'shahdil' aa gaya wo pahlu mein
hai ye sari 'ata december ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.