baat ke bich bol uThte ho
baat ke biich bol uThte ho
tum ishāra nahīñ samajhte ho
kahīñ dīvār to nahīñ huuñ maiñ
kyoñ mire saath lag ke baiThte ho
chāhtā huuñ mujhe pata to chale
kuchh to hai yaar kuchh to chāhte ho
kaash tum hote dil ke hamsā.e
kaun ho aur kahāñ pe rahte ho
roz maiñ aa.ine se pūchhtā huuñ
dekhe dekhe hue se lagte ho
kaun sā konā duuñ tumheñ dil kā
bojh dil kā kahīñ to pheñkte ho
sun ke achchhā lagā mujhe 'mahbūb'
mere baare meñ itnā sochte ho
baat ke bich bol uThte ho
tum ishaara nahin samajhte ho
kahin diwar to nahin hun main
kyon mere sath lag ke baiThte ho
chahta hun mujhe pata to chale
kuchh to hai yar kuchh to chahte ho
kash tum hote dil ke hamsae
kaun ho aur kahan pe rahte ho
roz main aaine se puchhta hun
dekhe dekhe hue se lagte ho
kaun sa kona dun tumhein dil ka
bojh dil ka kahin to phenkte ho
sun ke achchha laga mujhe 'mahbub'
mere bare mein itna sochte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.