baat ki baat rahe baat ka mafhum rahe
baat kī baat rahe baat kā mafhūm rahe
aur taḳhayyul mirā taaza rahe ma.asūm rahe
har na.ī soch ko mazmūn banā lūñgā magar
merā kirdār mirī zaat se mausūm rahe
merī pahchān ke sab log judā hote ga.e
jo bache merī tarah bebas-o-mazlūm rahe
aaj tak bante rahe haiñ jo hamāre zāmin
un se ham haath milāne se bhī mahrūm rahe
ab to bas ḳhud hī sunā karte haiñ apnī āvāz
aap ke qadmoñ kī aahaT se bhī mahrūm rahe
baat ki baat rahe baat ka mafhum rahe
aur taKHayyul mera taza rahe masum rahe
har nai soch ko mazmun bana lunga magar
mera kirdar meri zat se mausum rahe
meri pahchan ke sab log juda hote gae
jo bache meri tarah bebas-o-mazlum rahe
aaj tak bante rahe hain jo hamare zamin
un se hum hath milane se bhi mahrum rahe
ab to bas KHud hi suna karte hain apni aawaz
aap ke qadmon ki aahaT se bhi mahrum rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.