baat koi ek pal uske dhyan ke aane ki thi
baat koī ek pal us ke dhyān ke aane kī thī
phir ye mīThī niiñd us ke zahr ban jaane kī thī
aañkh ho ojhal to phir kohsār bhī ojhal haiñ sab
ik yahī sūrat tire dukh dard bahlāne kī thī
duur tak phaile hue paanī pe naav thī kahāñ
ye kahānī ā.inoñ par aks lahrāne kī thī
DhūñDhtī thiiñ shaam kā pahlā sitāra laḌkiyāñ
khel kyā thā bas ye ik ḳhvāhish kahīñ jaane kī thī
dastakeñ detā thā aksar shaam kā ThanDā charāġh
aur ye dastak kisī ke lauT kar aane kī thī
baat koi ek pal us ke dhyan ke aane ki thi
phir ye miThi nind us ke zahr ban jaane ki thi
aankh ho ojhal to phir kohsar bhi ojhal hain sab
ek yahi surat tere dukh dard bahlane ki thi
dur tak phaile hue pani pe naw thi kahan
ye kahani aainon par aks lahrane ki thi
DhunDhti thin sham ka pahla sitara laDkiyan
khel kya tha bas ye ek KHwahish kahin jaane ki thi
dastaken deta tha aksar sham ka ThanDa charagh
aur ye dastak kisi ke lauT kar aane ki thi
- Book : meyaar (Pg. 349)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.