baat kuchh hai bayan mein kuchh hai
baat kuchh hai bayan mein kuchh hai
Zakir Husain Husaini Zakir
MORE BYZakir Husain Husaini Zakir
baat kuchh hai bayān meñ kuchh hai
zehn meñ kuchh zabān meñ kuchh hai
dil machaltā hai āzmā.ish ko
shāyad us kī kamān meñ kuchh hai
husn-e-mahbūb kyā bayāñ kiije
aan meñ kuchh hai aan meñ kuchh hai
ham ne dil tum ko de diyā jānāñ
kyā tumhāre bhī dhyān meñ kuchh hai
kyoñ vo karne lage hayā ham se
umr kī is uThān meñ kuchh hai
aap bechain haiñ hamārī tarah
pyaar sā darmiyān meñ kuchh hai
dhaar rakhtā hai phir vo ḳhanjar par
fitna us ke dhiyān meñ kuchh hai
bevafā par na jaan de 'zākir'
jaan hī se jahān meñ kuchh hai
baat kuchh hai bayan mein kuchh hai
zehn mein kuchh zaban mein kuchh hai
dil machalta hai aazmaish ko
shayad us ki kaman mein kuchh hai
husn-e-mahbub kya bayan kije
aan mein kuchh hai aan mein kuchh hai
hum ne dil tum ko de diya jaanan
kya tumhaare bhi dhyan mein kuchh hai
kyon wo karne lage haya hum se
umr ki is uThan mein kuchh hai
aap bechain hain hamari tarah
pyar sa darmiyan mein kuchh hai
dhaar rakhta hai phir wo KHanjar par
fitna us ke dhiyan mein kuchh hai
bewafa par na jaan de 'zakir'
jaan hi se jahan mein kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.