baat kuchh hita-e-aghyar se aage na baDhi
baat kuchh hīta-e-aġhyār se aage na baḌhī
merī duniyā mirī dīvār se aage na baḌhī
kaun thā kis kī jhalak pā ke baḌhā maiñ aage
kyā vo taqrīr thī inkār se aage na baḌhī
ḳhvāb ne jast lagā.ī to falak chhū aaya
aur hasrat dil-e-bīmār se aage na baḌhī
chāk-e-yūsuf pe kiye ishq ne sad.hā sajde
aur havas garmī-e-bāzār se aage na baḌhī
parda-e-shab se ubhartī huī sub.h-e-jāñ-bez
tire gesū tire ruḳhsār se aage na baḌhī
baat kuchh hita-e-aghyar se aage na baDhi
meri duniya meri diwar se aage na baDhi
kaun tha kis ki jhalak pa ke baDha main aage
kya wo taqrir thi inkar se aage na baDhi
KHwab ne jast lagai to falak chhu aaya
aur hasrat dil-e-bimar se aage na baDhi
chaak-e-yusuf pe kiye ishq ne sadha sajde
aur hawas garmi-e-bazar se aage na baDhi
parda-e-shab se ubharti hui subh-e-jaan-bez
tere gesu tere ruKHsar se aage na baDhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.