baat mein baat paida kar dena
baat meñ baat paidā kar denā
ai ḳhudā mujh ko ye hunar denā
ek merā nahīñ zamāne meñ
kāsa-e-rizq sab kā bhar denā
har taraf tū hī tū nazar aa.e
ai ḳhudā mujh ko vo nazar denā
dushmanoñ ke diloñ ko mom kareñ
merī bātoñ meñ vo asar denā
jo haiñ majbūr un ko ai maulā
sāhab-e-eqtidār kar denā
hausla azm aur sabr-o-razā
dāman-e-zindagī meñ bhar denā
ye duā hai ki ai ḳhudā-e-rahīm
purkashish merī zaat kar denā
dil karegā ġhamoñ se samjhauta
mujh ko 'maqsūd' ye ḳhabar denā
baat mein baat paida kar dena
ai KHuda mujh ko ye hunar dena
ek mera nahin zamane mein
kasa-e-rizq sab ka bhar dena
har taraf tu hi tu nazar aae
ai KHuda mujh ko wo nazar dena
dushmanon ke dilon ko mom karen
meri baaton mein wo asar dena
jo hain majbur un ko ai maula
sahab-e-eqtidar kar dena
hausla azm aur sabr-o-raza
daman-e-zindagi mein bhar dena
ye dua hai ki ai KHuda-e-rahim
purkashish meri zat kar dena
dil karega ghamon se samjhauta
mujh ko 'maqsud' ye KHabar dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.