baat phir nikli nai ek baat se
baat phir niklī na.ī ik baat se
lafz aage baḌh ga.e auqāt se
maiñ huuñ sadiyoñ kā añdherā merī jaan
aap to jaage hue haiñ raat se
pāniyoñ ne pāniyoñ se jang kī
aaj phir āñkheñ laḌīñ barsāt se
tum dhare baiThe raho hāthoñ pe haath
dard bhī ab jā rahā hai haath se
‘ālam-e-bālā meñ kaisī shā'irī
daad leñ kyā huur se jinnāt se
tum baraste bhī nahīñ ho khul ke ab
aur kyā māñgā kareñ barsāt se
aayā sajde meñ ye behūda ḳhayāl
itnī ummīd ik ḳhudā kī zaat se
baat phir nikli nai ek baat se
lafz aage baDh gae auqat se
main hun sadiyon ka andhera meri jaan
aap to jage hue hain raat se
paniyon ne paniyon se jang ki
aaj phir aankhen laDin barsat se
tum dhare baiThe raho hathon pe hath
dard bhi ab ja raha hai hath se
‘alam-e-baala mein kaisi sha'iri
dad len kya hur se jinnat se
tum baraste bhi nahin ho khul ke ab
aur kya manga karen barsat se
aaya sajde mein ye behuda KHayal
itni ummid ek KHuda ki zat se
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 131)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.