baat saqi ki na Tali jaegi
baat saaqī kī na Taalī jā.egī
ye ġhazal sāñche meñ Dhālī jā.egī
kar ke tauba aa.e dil ko jab qarār
muhr-e-shīsha toḌ Daalī jā.egī
jab naqāb-e-ruḳh haTā lī jā.egī
sub.h hogī raat kaalī jā.egī
kahkashāñ hai rif.atoñ meñ vāzhgūñ
us taraf kyoñ tab.a-e-ālī jā.egī
paan khāte haiñ to vo karte haiñ qatl
kab bhalā hoñToñ se laalī jā.egī
bāġhbāñ āmāda-e-paikār hai
ye sabad gulchīñ kī ḳhālī jā.egī
dastak-e-nāmūs kā hai ye shu.ūr
dar pe dilbar ke na Taalī jā.egī
mehmāñ ālī-tabī.at hai bahut
ḳhvān meñ sone kī thālī jā.egī
ġham na kar 'nasrīñ' tirī kashtī zarūr
shoḳh maujoñ se nikālī jā.egī
baat saqi ki na Tali jaegi
ye ghazal sanche mein Dhaali jaegi
kar ke tauba aae dil ko jab qarar
muhr-e-shisha toD Dali jaegi
jab naqab-e-ruKH haTa li jaegi
subh hogi raat kali jaegi
kahkashan hai rifaton mein wazhgun
us taraf kyon taba-e-ali jaegi
pan khate hain to wo karte hain qatl
kab bhala honTon se lali jaegi
baghban aamada-e-paikar hai
ye sabad gulchin ki KHali jaegi
dastak-e-namus ka hai ye shuur
dar pe dilbar ke na Tali jaegi
mehman aali-tabiat hai bahut
KHwan mein sone ki thaali jaegi
gham na kar 'nasrin' teri kashti zarur
shoKH maujon se nikali jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.