baat sidhi bhi ho takrar bana leta hun
baat sīdhī bhī ho takrār banā letā huuñ
maiñ mohabbat ko bhī asrār banā letā huuñ
pahle pahle to maiñ apnā thā magar ab ḳhud ko
jaisī mahfil ho adākār banā letā huuñ
gher rakkhā hai ka.ī din se hasīñ yādoñ ne
ek tasvīr ka.ī baar banā letā huuñ
duur tak koī mire saath nahīñ chal saktā
so bichhaḌnā bhī tarah-dār banā letā huuñ
maiñ havāoñ pe qanā.at nahīñ karne vaalā
maiñ to hāthoñ ko bhī patvār banā letā huuñ
kuchh ta'alluq hai ḳhad-o-ḳhāl kī sūrat 'sābir'
kuchh ta'alluq ki maiñ bekār banā letā huuñ
baat sidhi bhi ho takrar bana leta hun
main mohabbat ko bhi asrar bana leta hun
pahle pahle to main apna tha magar ab KHud ko
jaisi mahfil ho adakar bana leta hun
gher rakkha hai kai din se hasin yaadon ne
ek taswir kai bar bana leta hun
dur tak koi mere sath nahin chal sakta
so bichhaDna bhi tarah-dar bana leta hun
main hawaon pe qanaat nahin karne wala
main to hathon ko bhi patwar bana leta hun
kuchh ta'alluq hai KHad-o-KHal ki surat 'sabir'
kuchh ta'alluq ki main bekar bana leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.