baat sun ai chashm-e-tar kuchh hosh kar
baat sun ai chashm-e-tar kuchh hosh kar
Duub jā.egā ye ghar kuchh hosh kar
ḳhud-kushī hī mas.ale kā hal hai kyā
baam se vāpas utar kuchh hosh kar
dasht kī jānib chalā to hai magar
saḳht hai ye rahguzar kuchh hosh kar
ab kiyā jazbāt meñ gar faisla
ro.egā tū umr bhar kuchh hosh kar
mat paTaḳh zindāñ meñ dīvāroñ pe sar
ḳhuuñ se ho jā.eñgī tar kuchh hosh kar
apnī āzādī na de sayyād ko
kaaT kar ḳhud apne par kuchh hosh kar
jis ko 'tāhir' terī kuchh parvā nahīñ
us kī chaukhaT par na mar kuchh hosh kar
baat sun ai chashm-e-tar kuchh hosh kar
Dub jaega ye ghar kuchh hosh kar
KHud-kushi hi masale ka hal hai kya
baam se wapas utar kuchh hosh kar
dasht ki jaanib chala to hai magar
saKHt hai ye rahguzar kuchh hosh kar
ab kiya jazbaat mein gar faisla
roega tu umr bhar kuchh hosh kar
mat paTaKH zindan mein diwaron pe sar
KHun se ho jaengi tar kuchh hosh kar
apni aazadi na de sayyaad ko
kaT kar KHud apne par kuchh hosh kar
jis ko 'tahir' teri kuchh parwa nahin
us ki chaukhaT par na mar kuchh hosh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.