baat waise nahin thi an-ban ki
baat vaise nahīñ thī an-ban kī
ḳhair lab par to aa ga.ī man kī
raat pāgal hañsā thā jī bhar kar
kis ne chheḌī thī baat sāvan kī
āñdhiyoñ kā to zor TuuT gayā
phir bhī baaqī haiñ vahshateñ ban kī
ḳhauf bāhar hai ḳhāmushī andar
gir na jaa.e fasīl phir tan kī
aks āñkhoñ meñ ab nahīñ koī
hairateñ dīdanī haiñ darpan kī
mauja-e-ḳhūñ kī shoḳhī-e-raftār
ho rahī hai harīf dāman kī
baat be-bāt ab jhagaḌte haiñ
aise 'āzād' jī na the sankī
baat waise nahin thi an-ban ki
KHair lab par to aa gai man ki
raat pagal hansa tha ji bhar kar
kis ne chheDi thi baat sawan ki
aandhiyon ka to zor TuT gaya
phir bhi baqi hain wahshaten ban ki
KHauf bahar hai KHamushi andar
gir na jae fasil phir tan ki
aks aankhon mein ab nahin koi
hairaten didani hain darpan ki
mauja-e-KHun ki shoKHi-e-raftar
ho rahi hai harif daman ki
baat be-baat ab jhagaDte hain
aise 'azad' ji na the sanki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.