baat ye tere siwa aur bhala kis se karen
baat ye tere sivā aur bhalā kis se kareñ
tū jafā-kār huā hai to vafā kis se kareñ
aa.ina sāmne rakkheñ to nazar tū aa.e
tujh se jo baat chhupānī ho kahā kis se kareñ
haath uljhe hue resham meñ phañsā baiThe haiñ
ab batā kaun se dhāge ko judā kis se kareñ
zulf se chashm-o-lab-o-ruḳh se ki tere ġham se
baat ye hai ki dil-o-jāñ ko rihā kis se kareñ
tū nahīñ hai to phir ai husn-e-suḳhan-sāz batā
is bhare shahr meñ ham jaise milā kis se kareñ
tū ne to apnī sī karnī thī so kar lī 'ḳhāvar'
mas.ala ye hai ki ham us kā gilā kis se kareñ
baat ye tere siwa aur bhala kis se karen
tu jafa-kar hua hai to wafa kis se karen
aaina samne rakkhen to nazar tu aae
tujh se jo baat chhupani ho kaha kis se karen
hath uljhe hue resham mein phansa baiThe hain
ab bata kaun se dhage ko juda kis se karen
zulf se chashm-o-lab-o-ruKH se ki tere gham se
baat ye hai ki dil-o-jaan ko riha kis se karen
tu nahin hai to phir ai husn-e-suKHan-saz bata
is bhare shahr mein hum jaise mila kis se karen
tu ne to apni si karni thi so kar li 'KHawar'
masala ye hai ki hum us ka gila kis se karen
- Book : Tumhe.n Jaanee kii jaldii thii (Pg. 23)
- Author : Ayub Khawar
- Publication : Al-Hamd Publications (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.