baaton baaton mein hi unwan badal jate hain
bātoñ bātoñ meñ hī unvān badal jaate haiñ
kitnī raftār se insān badal jaate haiñ
choriyāñ ho nahīñ pātīñ to yahī hotā hai
apnī bastī ke nigahbān badal jaate haiñ
koī manzil hī nahīñ Thahreñ murādeñ jis par
vaqt badle bhī to armān badal jaate haiñ
us ke dāman se umīdoñ ke guloñ ko chun kar
zindagī ke sabhī imkān badal jaate haiñ
baaton baaton mein hi unwan badal jate hain
kitni raftar se insan badal jate hain
choriyan ho nahin patin to yahi hota hai
apni basti ke nigahban badal jate hain
koi manzil hi nahin Thahren muraden jis par
waqt badle bhi to arman badal jate hain
us ke daman se umidon ke gulon ko chun kar
zindagi ke sabhi imkan badal jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.