baaton baaton mein qasam apni khilane wale
bātoñ bātoñ meñ qasam apnī khilāne vaale
mauqa milte hī magar tum ko girāne vaale
mujhe ye lagtā hai koī to rahe paas mire
apne hāthoñ se parindoñ ko khilāne vaale
ab to maikash bhī nahīñ jaate haiñ maiḳhāne meñ
shahr meñ kam nahīñ āñkhoñ se pilāne vaale
mujh ko is shahr kī tahzīb nahīñ bhātī hai
ab yahāñ milte nahīñ haath milāne vaale
tujh ko andāza nahīñ hai mirī barbādī kā
mujh ko maiḳhāne ke ādāb sikhāne vaale
jo ujāle se bahut duur bahut duur rahe
kyā ġhazab shai hai ye ā.īna dikhāne vaale
zindagī tū ne hameñ chain se rahne na diyā
ham ko aate nahīñ andāz zamāne vaale
baaton baaton mein qasam apni khilane wale
mauqa milte hi magar tum ko girane wale
mujhe ye lagta hai koi to rahe pas mere
apne hathon se parindon ko khilane wale
ab to maikash bhi nahin jate hain maiKHane mein
shahr mein kam nahin aankhon se pilane wale
mujh ko is shahr ki tahzib nahin bhati hai
ab yahan milte nahin hath milane wale
tujh ko andaza nahin hai meri barbaadi ka
mujh ko maiKHane ke aadab sikhane wale
jo ujale se bahut dur bahut dur rahe
kya ghazab shai hai ye aaina dikhane wale
zindagi tu ne hamein chain se rahne na diya
hum ko aate nahin andaz zamane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.