baaton baaton mein safar kaT rahe hain hum log
bātoñ bātoñ meñ safar kaaT rahe haiñ ham log
raat mushkil hai magar kaaT rahe haiñ ham log
apnī āñkhoñ kī tabāhī se Dare haiñ itne
har na.e ḳhvāb ke par kaaT rahe haiñ ham log
apnī chīḳhoñ kā galā ghoñT ke ḳhāmoshī se
apnī āvāz kā sar kaaT rahe haiñ ham log
itnī shiddat se hameñ dhuup jalātī bhī nahīñ
jitnī mehnat se shajar kaaT rahe haiñ ham log
in buzurgoñ kī duāoñ se zamāne-bhar kī
bad-duāoñ kā asar kaaT rahe haiñ ham log
baaton baaton mein safar kaT rahe hain hum log
raat mushkil hai magar kaT rahe hain hum log
apni aankhon ki tabahi se Dare hain itne
har nae KHwab ke par kaT rahe hain hum log
apni chiKHon ka gala ghonT ke KHamoshi se
apni aawaz ka sar kaT rahe hain hum log
itni shiddat se hamein dhup jalati bhi nahin
jitni mehnat se shajar kaT rahe hain hum log
in buzurgon ki duaon se zamane-bhar ki
bad-duaon ka asar kaT rahe hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.