baaton ko meri chhoDiye jo aapko jachi nahin
bātoñ ko merī chhoḌiye jo aap ko jachī nahīñ
lekin ye dil se pūchhiye kyā dil bhī qīmtī nahīñ
aadat burī to jā.egī ik din to jā.egī nahīñ
vo aadmī burā nahīñ fitrat agar burī nahīñ
gulshan ke phuul phuul meñ kis kī mahak hai ye batā
nazroñ se tū chhupā magar ḳhushbū terī chhupī nahīñ
tū ne nazar jo pher lī saaqī ye terā zarf hai
lekin ḳhudā kā shukr hai sāġhar mirā tahī nahīñ
kis ne uḌaa.ī baat vo kyūñkar uḌaa.ī sochiye
jo baat mere aap ke vahm-o-gumāñ meñ thī nahīñ
socho marīz-e-ishq kā us vaqt haal kyā huā
jab chārāgar ne ye kahā ummīd-e-zindagī nahīñ
tārīḳh kā varaq varaq shāhid hai is usuul kā
jab tak na jaage aadmī qismat bhī jāgtī nahīñ
chalne diyā na do qadam manzil qarīb aa ga.ī
baḳht-e-rasā kī baat hai 'muḳhlis' hañsī huī nahīñ
baaton ko meri chhoDiye jo aap ko jachi nahin
lekin ye dil se puchhiye kya dil bhi qimti nahin
aadat buri to jaegi ek din to jaegi nahin
wo aadmi bura nahin fitrat agar buri nahin
gulshan ke phul phul mein kis ki mahak hai ye bata
nazron se tu chhupa magar KHushbu teri chhupi nahin
tu ne nazar jo pher li saqi ye tera zarf hai
lekin KHuda ka shukr hai saghar mera tahi nahin
kis ne uDai baat wo kyunkar uDai sochiye
jo baat mere aap ke wahm-o-guman mein thi nahin
socho mariz-e-ishq ka us waqt haal kya hua
jab chaaragar ne ye kaha ummid-e-zindagi nahin
tariKH ka waraq waraq shahid hai is usul ka
jab tak na jage aadmi qismat bhi jagti nahin
chalne diya na do qadam manzil qarib aa gai
baKHt-e-rasa ki baat hai 'muKHlis' hansi hui nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.