baaton mein dard hai lab-o-lahja udas hai
bātoñ meñ dard hai lab-o-lahja udaas hai
koī to baat hai tirā chehra udaas hai
kahtā thā vo ki mujh se bichhaḌ kar rahegā ḳhush
jab jab bhī us ko dosto dekhā udaas hai
us se bichhaḌ ke dil kahīñ lagtā nahīñ mirā
lagtā hai jaise saarī hī duniyā udaas hai
tanhā chalūñgā jānib-e-manzil maiñ kis tarah
sāthī tire baġhair to rasta udaas hai
tum kyā ga.e ki raunaq-e-gulshan chalī ga.ī
har ek gulsitāñ kā parinda udaas hai
'hassān' is balā meñ to duniyā hai mubtalā
tū hī nahīñ jo ishq meñ tanhā udaas hai
baaton mein dard hai lab-o-lahja udas hai
koi to baat hai tera chehra udas hai
kahta tha wo ki mujh se bichhaD kar rahega KHush
jab jab bhi us ko dosto dekha udas hai
us se bichhaD ke dil kahin lagta nahin mera
lagta hai jaise sari hi duniya udas hai
tanha chalunga jaanib-e-manzil main kis tarah
sathi tere baghair to rasta udas hai
tum kya gae ki raunaq-e-gulshan chali gai
har ek gulsitan ka parinda udas hai
'hassan' is bala mein to duniya hai mubtala
tu hi nahin jo ishq mein tanha udas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.