baaton mein lafz lafz ki sachchai le ke aa
bātoñ meñ lafz lafz kī sachchā.ī le ke aa
dil jis meñ Duub jaa.eñ vo gahrā.ī le ke aa
us ke baġhair 'ilm-o-hunar sab fuzūl haiñ
pahchān apnī haq kī shanāsā.ī le ke aa
ai mausam-e-bahār tirā shukriya magar
kuchh dil ke baaġh ke liye rā'nā.ī le ke aa
ḳhud-kāmiyoñ kī bhiiḌ meñ gum ho gayā hai jo
vo pyaar vo ḳhulūs mire bhaa.ī le ke aa
ḳhud-matlabī kā raag to bhātā nahīñ mujhe
aanā hai to ḳhulūs kī shahnā.ī le ke aa
jā māntā nahīñ to dar-e-husn se 'shafīq'
phir ek baar zillat-o-rusvā.ī le ke aa
baaton mein lafz lafz ki sachchai le ke aa
dil jis mein Dub jaen wo gahrai le ke aa
us ke baghair 'ilm-o-hunar sab fuzul hain
pahchan apni haq ki shanasai le ke aa
ai mausam-e-bahaar tera shukriya magar
kuchh dil ke bagh ke liye ra'nai le ke aa
KHud-kaamiyon ki bhiD mein gum ho gaya hai jo
wo pyar wo KHulus mere bhai le ke aa
KHud-matlabi ka rag to bhata nahin mujhe
aana hai to KHulus ki shahnai le ke aa
ja manta nahin to dar-e-husn se 'shafiq'
phir ek bar zillat-o-ruswai le ke aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.