baz dil yaad se unki na zara-bhar aaya
baaz dil yaad se un kī na zarā-bhar aayā
vo na aayā to ḳhayāl un kā barābar aayā
sāqiyā dard-bharā hī rahā paimāna-e-chashm
so tirī baat pe chhalkā jo zarā-bhar aayā
aah vo shiddat-e-ġham hai ki mirī āñkhoñ se
būñd-do-būñd nahīñ ek samundar aayā
jis se bachne ke liye band kiiñ āñkheñ ham ne
band āñkhoñ pe bhī aage vahī manzar aayā
ye jo sahrā meñ phirā kartā hai dīvāna sā
ḳhud ko duniyā ke jhameloñ se chhuḌā kar aayā
dil ko shiddat se tamannā thī tire kūche kī
so baḌe shauq se us ko maiñ vahāñ dhar aayā
baz dil yaad se un ki na zara-bhar aaya
wo na aaya to KHayal un ka barabar aaya
saqiya dard-bhara hi raha paimana-e-chashm
so teri baat pe chhalka jo zara-bhar aaya
aah wo shiddat-e-gham hai ki meri aankhon se
bund-do-bund nahin ek samundar aaya
jis se bachne ke liye band kin aankhen hum ne
band aankhon pe bhi aage wahi manzar aaya
ye jo sahra mein phira karta hai diwana sa
KHud ko duniya ke jhamelon se chhuDa kar aaya
dil ko shiddat se tamanna thi tere kuche ki
so baDe shauq se us ko main wahan dhar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.