bazar ke girte hue damon ki tarah the
bāzār ke girte hue dāmoñ kī tarah the
ham kāñch ke TuuTe hue jāmoñ kī tarah the
vo misl-e-sabā phirtā thā is shahr meñ lekin
ham ret pe likkhe hue nāmoñ kī tarah the
jo likkhe ga.e the magar us tak nahīñ pahuñche
ham log bhī aise hī payāmoñ kī tarah the
vo sheva taġhāful ko banā baiThā thā apnā
ham bhī use bhūle hue kāmoñ kī tarah the
bazar ke girte hue damon ki tarah the
hum kanch ke TuTe hue jamon ki tarah the
wo misl-e-saba phirta tha is shahr mein lekin
hum ret pe likkhe hue namon ki tarah the
jo likkhe gae the magar us tak nahin pahunche
hum log bhi aise hi payamon ki tarah the
wo shewa taghaful ko bana baiTha tha apna
hum bhi use bhule hue kaamon ki tarah the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.