bazar tere shahr ke badnam bahut hain
bāzār tire shahr ke badnām bahut haiñ
chhoTī sī ḳhushī ke bhī yahāñ daam bahut haiñ
maiñ kaise chalūñ hausle kā haath pakaḌ kar
is zindagī meñ gardish-e-ayyām bahut haiñ
hoñToñ se baġhāvat kī sadā kaise ho jaarī
vaa.iz ko hukūmat se abhī kaam bahut haiñ
is daur meñ ummīd karūñ adl kī kaise
munsif pe hī jab qatl ke ilzām bahut haiñ
āġhosh meñ aur vaqt ke baaqī haiñ suḳhanvar
'ġhālib' bhī ka.ī 'mīr' bhī 'ḳhayyām' bahut haiñ
ye shahr bhī mahfūz nahīñ qahr-e-ḳhudā se
saaqī bhī haiñ mai-ḳhāne bhī haiñ jaam bahut haiñ
vo zaat hai vāhid vo hī ḳhāliq vo hī rāziq
maḳhlūq ne par us ko diye naam bahut haiñ
imdād-o-ibādat meñ riyā-kārī na ho 'chāñd'
iḳhlās-e-amal par vahāñ in.aam bahut haiñ
bazar tere shahr ke badnam bahut hain
chhoTi si KHushi ke bhi yahan dam bahut hain
main kaise chalun hausle ka hath pakaD kar
is zindagi mein gardish-e-ayyam bahut hain
honTon se baghawat ki sada kaise ho jari
waiz ko hukumat se abhi kaam bahut hain
is daur mein ummid karun adl ki kaise
munsif pe hi jab qatl ke ilzam bahut hain
aaghosh mein aur waqt ke baqi hain suKHanwar
'ghaalib' bhi kai 'mir' bhi 'KHayyam' bahut hain
ye shahr bhi mahfuz nahin qahr-e-KHuda se
saqi bhi hain mai-KHane bhi hain jam bahut hain
wo zat hai wahid wo hi KHaliq wo hi raaziq
maKHluq ne par us ko diye nam bahut hain
imdad-o-ibaadat mein riya-kari na ho 'chand'
iKHlas-e-amal par wahan inam bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.