bazaron mein apna-pan kam milta hai
bāzāroñ meñ apnā-pan kam miltā hai
tan milte haiñ man se man kam miltā hai
kāġhaz ke phūloñ meñ masnū'ī ḳhushbū
miTTī meñ bhī sauñdhā-pan kam miltā hai
haath milāne vaale aksar milte haiñ
pal do pal bhī mugdh-nayan kam miltā hai
tulsī kā birvā ho gangā kā jal ho
mandir jaisā ghar-āñgan kam miltā hai
jīvan meñ nāTak to chalte rahte haiñ
nāTak ko lekin jīvan kam miltā hai
darshan kī bāteñ to sab kar lete haiñ
bachchoñ jaisā bholā-pan kam miltā hai
shabdoñ kā saundarya asīmit ho jis meñ
rachnā ko aisā chintan kam miltā hai
bazaron mein apna-pan kam milta hai
tan milte hain man se man kam milta hai
kaghaz ke phulon mein masnu'i KHushbu
miTTi mein bhi saundha-pan kam milta hai
hath milane wale aksar milte hain
pal do pal bhi mugdh-nayan kam milta hai
tulsi ka birwa ho ganga ka jal ho
mandir jaisa ghar-angan kam milta hai
jiwan mein naTak to chalte rahte hain
naTak ko lekin jiwan kam milta hai
darshan ki baaten to sab kar lete hain
bachchon jaisa bhola-pan kam milta hai
shabdon ka saundarya asimit ho jis mein
rachna ko aisa chintan kam milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.