bazu hain tere halqa-e-radd-e-bala mujhe
baazū haiñ tere halqa-e-radd-e-balā mujhe
ai shaḳhs ek baar gale se lagā mujhe
tere baġhair jiine kī 'ādat nahīñ huī
lekin ye tajraba baḌā mahñgā paḌā mujhe
mere badan se jis kī mahak jā nahīñ rahī
vo shaḳhs bhī samajhne lagā dūsrā mujhe
us ke ba-qaul us ko koī hosh hī na thā
varna vo mujh se mil ke bahut chūmtā mujhe
paiham aziyyateñ haiñ ye sāñseñ tire baġhair
lagne lagī hai zindagī ik bad-du'ā mujhe
tū kah rahā hai sabr karūñ is judā.ī par
sach-much agar judā.ī pe sabr aa gayā mujhe
bazu hain tere halqa-e-radd-e-bala mujhe
ai shaKHs ek bar gale se laga mujhe
tere baghair jine ki 'adat nahin hui
lekin ye tajraba baDa mahnga paDa mujhe
mere badan se jis ki mahak ja nahin rahi
wo shaKHs bhi samajhne laga dusra mujhe
us ke ba-qaul us ko koi hosh hi na tha
warna wo mujh se mil ke bahut chumta mujhe
paiham aziyyaten hain ye sansen tere baghair
lagne lagi hai zindagi ek bad-du'a mujhe
tu kah raha hai sabr karun is judai par
sach-much agar judai pe sabr aa gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.