babul kar diya badan jawan ruton ki chah ne
babūl kar diyā badan javāñ rutoñ kī chaah ne
jalā diyā gulāb ko chaman kī sard aah ne
sitam-zarīf yuuñ adālatoñ meñ chup khaḌe haiñ sab
ki jaise sī liye hoñ lab subūt ne gavāh ne
kisī ko ḳhaas manziloñ kā shauq aam kar gayā
kisī ko ḳhaas kar diyā hai aam shāhrāh ne
nigāh-e-be-zabān ne girā diyā zamīn par
chaḌhā diyā hai daar par zabān-e-be-nigāh ne
vahī nagīne pattharoñ ke daam bik rahe haiñ ab
kabhī jo taaj meñ lagā rakhe the tere shaah ne
maiñ āḳhirī ġhazal sunā ke uTh rahā thā bazm se
ki muuD phir banā diyā kisī kī vaah vaah ne
babul kar diya badan jawan ruton ki chah ne
jala diya gulab ko chaman ki sard aah ne
sitam-zarif yun adalaton mein chup khaDe hain sab
ki jaise si liye hon lab subut ne gawah ne
kisi ko KHas manzilon ka shauq aam kar gaya
kisi ko KHas kar diya hai aam shahrah ne
nigah-e-be-zaban ne gira diya zamin par
chaDha diya hai dar par zaban-e-be-nigah ne
wahi nagine pattharon ke dam bik rahe hain ab
kabhi jo taj mein laga rakhe the tere shah ne
main aaKHiri ghazal suna ke uTh raha tha bazm se
ki muD phir bana diya kisi ki wah wah ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.