babul sarw se behtar dikhai deta hai
babūl sarv se behtar dikhā.ī detā hai
har ek ḳhaar gul-e-tar dikhā.ī detā hai
girā-paḌā sā har ik ghar dikhā.ī detā hai
galī galī yahī manzar dikhā.ī detā hai
bahut se haath madad ko baḌhe magar kyā hai
har ek haath meñ ḳhanjar dikhā.ī detā hai
baḌhī hai tishnagī itnī ki pyaas ke maare
sarāb-e-vaqt samandar dikhā.ī detā hai
vo jis ke saa.e meñ paltī rahī hai tārīkī
vo aaj māh-e-munavvar dikhā.ī detā hai
vahī jo zo'm-o-takabbur meñ thā akaḌtā huā
vo ab ḳhulūs kā paikar dikhā.ī detā hai
babul sarw se behtar dikhai deta hai
har ek KHar gul-e-tar dikhai deta hai
gira-paDa sa har ek ghar dikhai deta hai
gali gali yahi manzar dikhai deta hai
bahut se hath madad ko baDhe magar kya hai
har ek hath mein KHanjar dikhai deta hai
baDhi hai tishnagi itni ki pyas ke mare
sarab-e-waqt samandar dikhai deta hai
wo jis ke sae mein palti rahi hai tariki
wo aaj mah-e-munawwar dikhai deta hai
wahi jo zo'm-o-takabbur mein tha akaDta hua
wo ab KHulus ka paikar dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.