bach-bacha kar jism se bhaga koi
bach-bachā kar jism se bhāgā koī
girtī dīvāroñ kī zad meñ thā koī
is qadar dast-e-rasā.ī se gurez
ham na sāhil haiñ na tum dariyā koī
lauT aate dasht-e-tanhā.ī se ham
shahr meñ āvāz to detā koī
saare din cigarette ke marġholoñ meñ band
raat bhar ḳhvāboñ kā qaidī thā koī
mere dariyā tū shanāvar ko na bhuul
dekh to tah meñ tirī Duubā koī
vo bhī hai lafzoñ ke mahbas meñ asiir
in lakīroñ se nikal aatā koī
bach-bacha kar jism se bhaga koi
girti diwaron ki zad mein tha koi
is qadar dast-e-rasai se gurez
hum na sahil hain na tum dariya koi
lauT aate dasht-e-tanhai se hum
shahr mein aawaz to deta koi
sare din cigarette ke margholon mein band
raat bhar KHwabon ka qaidi tha koi
mere dariya tu shanawar ko na bhul
dekh to tah mein teri Duba koi
wo bhi hai lafzon ke mahbas mein asir
in lakiron se nikal aata koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.