bacha ab kya hamara hai
bachā ab kyā hamārā hai
ḳhasāra hī ḳhasāra hai
bhañvar meñ phañs gayā huuñ maiñ
yahāñ koī kināra hai
bulāvā us ne bhejā hai
ye sab kaisā ishāra hai
vo aa.e haiñ hameñ milne
bichhaḌnā phir dubāra hai
are aao miyāñ baiTho
lo ḳhanjar ye tumhārā hai
jigar kā ḳhuun de de kar
tirā har qarz utārā hai
agar aa.e to aa.e maut
yahī bas ek chāra hai
ḳhushī mumkin nahīñ thī par
hameñ ye ġham gavārā hai
hamārī har ġhazal kā hī
mohabbat isti'āra hai
sar-e-sahrā musāfir huuñ
mirī manzil vo taarā hai
bacha ab kya hamara hai
KHasara hi KHasara hai
bhanwar mein phans gaya hun main
yahan koi kinara hai
bulawa us ne bheja hai
ye sab kaisa ishaara hai
wo aae hain hamein milne
bichhaDna phir dubara hai
are aao miyan baiTho
lo KHanjar ye tumhaara hai
jigar ka KHun de de kar
tera har qarz utara hai
agar aae to aae maut
yahi bas ek chaara hai
KHushi mumkin nahin thi par
hamein ye gham gawara hai
hamari har ghazal ka hi
mohabbat isti'ara hai
sar-e-sahra musafir hun
meri manzil wo tara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.