bacha kar kuchh na kuchh iman rakhna
bachā kar kuchh na kuchh īmān rakhnā
jale hāthoñ meñ bhī gul-dān rakhnā
kafan kā qarz bhī lenā paḌegā
mahājan se abhī pahchān rakhnā
maiñ ik ik sher ko ta.avīz kar luuñ
mire chāroñ taraf lobān rakhnā
ka.ī dīvān ġhā.eb ho chuke haiñ
na urdu-ghar meñ tum darbān rakhnā
sulaimāñ-zād auñdhe sar paḌe haiñ
havāoñ kā na itmīnān rakhnā
savāb-e-jāñ kī nā-mumkin hadoñ meñ
gunāhoñ kā bhī kuchh imkān rakhnā
kahīñ aisā na hoñ sab Duub jaa.eñ
'riyāz' andāza-e-tūfān rakhnā
bacha kar kuchh na kuchh iman rakhna
jale hathon mein bhi gul-dan rakhna
kafan ka qarz bhi lena paDega
mahajan se abhi pahchan rakhna
main ek ek sher ko tawiz kar lun
mere chaaron taraf loban rakhna
kai diwan ghaeb ho chuke hain
na urdu-ghar mein tum darban rakhna
sulaiman-zad aundhe sar paDe hain
hawaon ka na itminan rakhna
sawab-e-jaan ki na-mumkin hadon mein
gunahon ka bhi kuchh imkan rakhna
kahin aisa na hon sab Dub jaen
'riyaz' andaza-e-tufan rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.