bacha ke rakkhi hai thoDi si dosti maine
bachā ke rakkhī hai thoḌī sī dostī maiñ ne
kiyā hai tark abhī rishta aarzī maiñ ne
purānī yādoñ ko pūchhā na.e irādoñ se
darīcha khol ke aane dī raushnī maiñ ne
diyā hai rāstā phir se na.e ḳhayāloñ ko
miTā.ī zehn se tasvīr aap kī maiñ ne
tujhe bhī dekhūñ taḌaptā huā kisī ke liye
isī liye to nahīñ kī thī ḳhud-kushī maiñ ne
tamām rang hī takne lage the hasrat se
safed rang kī oḌhī jo oḌhnī maiñ ne
uThā ke haath ḳhudā se duā kī paanī kī
badan pe sahrā ke jhuk ke likhī nadī maiñ ne
har ek lamha guzartā hai ik baras jaisā
guzār dī ho yahāñ jaise ik sadī maiñ ne
vo tiin lafz huuñ jis kī maiñ muntazir kab se
kaho na ek daf.a phir nahīñ sunī maiñ ne
umaDte shor ke sho.aloñ pe paḌ gayā paanī
bas ek baat zarā zor se kahī maiñ ne
bacha ke rakkhi hai thoDi si dosti main ne
kiya hai tark abhi rishta aarzi main ne
purani yaadon ko puchha nae iradon se
daricha khol ke aane di raushni main ne
diya hai rasta phir se nae KHayalon ko
miTai zehn se taswir aap ki main ne
tujhe bhi dekhun taDapta hua kisi ke liye
isi liye to nahin ki thi KHud-kushi main ne
tamam rang hi takne lage the hasrat se
safed rang ki oDhi jo oDhni main ne
uTha ke hath KHuda se dua ki pani ki
badan pe sahra ke jhuk ke likhi nadi main ne
har ek lamha guzarta hai ek baras jaisa
guzar di ho yahan jaise ek sadi main ne
wo tin lafz hun jis ki main muntazir kab se
kaho na ek dafa phir nahin suni main ne
umaDte shor ke shoalon pe paD gaya pani
bas ek baat zara zor se kahi main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.