bacha le dhup se aisa koi shajar na mila
bachā le dhuup se aisā koī shajar na milā
kahīñ surāġh-e-vafā qissa muḳhtasar na milā
machal rahe the jabīn-e-niyāz meñ sajde
ye aur baat muqaddar se sañg-e-dar na milā
kuredte rahe sab dost mere zaḳhmoñ ko
sabhī ne tanz kiye koī chārāgar na milā
vo karbalā to nahīñ dostoñ kī bastī thī
taḌapte rah ga.e paanī ko buuñd bhar na milā
hujūm yāroñ kā thā mere saath sāhil tak
samundaroñ meñ magar koī ham-safar na milā
likhā ke laa.e the mahrūmiyāñ muqaddar meñ
tujhe duā na milī aur mujhe asar na milā
abhī to ashk kī ik buuñd se ye tūfāñ hai
qadam sambhāl le aur aah meñ sharar na milā
qadam baḌhā.e to pāyāb thā har ik dariyā
magar talāsh thī jis kī vahī guhar na milā
ham apnī ziist ko karte bhī kyā raqam 'az.har'
varaq milā bhī jo sīmīñ to āb-e-zar na milā
bacha le dhup se aisa koi shajar na mila
kahin suragh-e-wafa qissa muKHtasar na mila
machal rahe the jabin-e-niyaz mein sajde
ye aur baat muqaddar se sang-e-dar na mila
kuredte rahe sab dost mere zaKHmon ko
sabhi ne tanz kiye koi chaaragar na mila
wo karbala to nahin doston ki basti thi
taDapte rah gae pani ko bund bhar na mila
hujum yaron ka tha mere sath sahil tak
samundaron mein magar koi ham-safar na mila
likha ke lae the mahrumiyan muqaddar mein
tujhe dua na mili aur mujhe asar na mila
abhi to ashk ki ek bund se ye tufan hai
qadam sambhaal le aur aah mein sharar na mila
qadam baDhae to payab tha har ek dariya
magar talash thi jis ki wahi guhar na mila
hum apni zist ko karte bhi kya raqam 'azhar'
waraq mila bhi jo simin to aab-e-zar na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.