bacha tha ek jo wo rabta bhi TuT gaya
bachā thā ek jo vo rābta bhī TuuT gayā
ḳhafā jo ḳhud se hue aa.ina bhī TuuT gayā
fazā.eñ laakh bulā.eñ uḌaan kaise bhareñ
paroñ ke saath hī jab hausla bhī TuuT gayā
us ek peḌ ke dar pe thiiñ āñdhiyāñ kyā kyā
ki us ke TūTte zor-e-havā bhī TuuT gayā
parinde DhūñDte phirte haiñ phir se jā-e-amāñ
shajar ke saath hī har ghoñsla bhī TuuT gayā
'shafīq' vo to banā hai ajiib miTTī se
ki de ke dastakeñ sañg-e-sadā bhī TuuT gayā
bacha tha ek jo wo rabta bhi TuT gaya
KHafa jo KHud se hue aaina bhi TuT gaya
fazaen lakh bulaen uDan kaise bharen
paron ke sath hi jab hausla bhi TuT gaya
us ek peD ke dar pe thin aandhiyan kya kya
ki us ke TuTte zor-e-hawa bhi TuT gaya
parinde DhunDte phirte hain phir se ja-e-aman
shajar ke sath hi har ghonsla bhi TuT gaya
'shafiq' wo to bana hai ajib miTTi se
ki de ke dastaken sang-e-sada bhi TuT gaya
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 222)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.