bachche bholi-bhaali baaten karte hain
bachche bholī-bhālī bāteñ karte haiñ
raushan mustaqbil kī bāteñ karte haiñ
jaane kab aa.egā mausam gītoñ kā
sūkhe peḌ pe panchhī bāteñ karte haiñ
vīrāñ vīrāñ ujḌā ujḌā shahr-e-vafā
log yahāñ ke rūkhī bāteñ karte haiñ
mahkā.eñge ham bhī ik din vīrānī
ḳhār-e-muġhīlāñ kaisī bāteñ karte haiñ
TuuT ke mujh se milte haiñ jab yaar mire
pahle vo bhī rasmī bāteñ karte haiñ
zahr kā sāgar piine vaale gahre log
mīThī pyārī pyārī bāteñ karte haiñ
log haiñ agle vaqtoñ ke 'irfān' suno
ye jo bhūlī-bisrī bāteñ karte haiñ
bachche bholi-bhaali baaten karte hain
raushan mustaqbil ki baaten karte hain
jaane kab aaega mausam giton ka
sukhe peD pe panchhi baaten karte hain
viran viran ujDa ujDa shahr-e-wafa
log yahan ke rukhi baaten karte hain
mahkaenge hum bhi ek din virani
KHar-e-mughilan kaisi baaten karte hain
TuT ke mujh se milte hain jab yar mere
pahle wo bhi rasmi baaten karte hain
zahr ka sagar pine wale gahre log
miThi pyari pyari baaten karte hain
log hain agle waqton ke 'irfan' suno
ye jo bhuli-bisri baaten karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.