bachpan hai ek KHwab jawani fareb hai
bachpan hai ek ḳhvāb javānī fareb hai
is zindagī kī puurī kahānī fareb hai
dariyā meñ ham jab utre to dariyā Thahar gayā
tab jā ke ye khulā ki ravānī fareb hai
mashkīza rakh do pyaas ko rahne do bā-vaqār
ye karbalā hai dosto paanī fareb hai
do chaar din kā sog hai do chaar din kā ġham
har aañkh kī ye ashk-fishānī fareb hai
kyā kyā nahīñ hai boltā tanhā.iyoñ meñ dil
mahfil meñ us kī ‘ijz-bayānī fareb hai
aage añdherī raat hai phir aag ugaltā din
kuchh der kī ye shaam suhānī fareb hai
ye dasht hai vo ghar thā koī farq hai 'kamāl'
'uqda khulā ki naql-e-makānī fareb hai
bachpan hai ek KHwab jawani fareb hai
is zindagi ki puri kahani fareb hai
dariya mein hum jab utre to dariya Thahar gaya
tab ja ke ye khula ki rawani fareb hai
mashkiza rakh do pyas ko rahne do ba-waqar
ye karbala hai dosto pani fareb hai
do chaar din ka sog hai do chaar din ka gham
har aankh ki ye ashk-fishani fareb hai
kya kya nahin hai bolta tanhaiyon mein dil
mahfil mein us ki ‘ijz-bayani fareb hai
aage andheri raat hai phir aag ugalta din
kuchh der ki ye sham suhani fareb hai
ye dasht hai wo ghar tha koi farq hai 'kamal'
'uqda khula ki naql-e-makani fareb hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.