bad-hawasi bad-gumani be-niyazi aap ki
bad-havāsī bad-gumānī be-niyāzī aap kī
mushkiloñ meñ Daal degī zindagānī aap kī
dekh kar hairat hai sab ko jhuuT ke darbār meñ
aaj bhī qaa.em hai kaise haq-bayānī aap kī
shortcut ke rāste manzil ko paanā chāhte
har kisī ko dikh rahī hai be-qarārī aap kī
ishq ke dariyā meñ mat utreñ kahā māneñ merā
rahne deñ ab ho ga.ī kashtī purānī aap kī
guftugū meñ thoḌī sī shālīntā bartā kareñ
le na Duube aap ko ye bad-mizājī aap kī
duniyā meñ 'agyāt' se jo ahl-e-fan hote nahīñ
sochiye phir kaun kartā ġham-gusārī aap kī
bad-hawasi bad-gumani be-niyazi aap ki
mushkilon mein Dal degi zindagani aap ki
dekh kar hairat hai sab ko jhuT ke darbar mein
aaj bhi qaem hai kaise haq-bayani aap ki
shortcut ke raste manzil ko pana chahte
har kisi ko dikh rahi hai be-qarari aap ki
ishq ke dariya mein mat utren kaha manen mera
rahne den ab ho gai kashti purani aap ki
guftugu mein thoDi si shaalinta barta karen
le na Dube aap ko ye bad-mizaji aap ki
duniya mein 'agyat' se jo ahl-e-fan hote nahin
sochiye phir kaun karta gham-gusari aap ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.