Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bad-nasib banjara us zamin ka basi hai

Hairat Allahabadi

bad-nasib banjara us zamin ka basi hai

Hairat Allahabadi

MORE BYHairat Allahabadi

    bad-nasīb banjāra us zamīñ baasī hai

    jo zamīn ulfat muddatoñ se pyāsī hai

    har taraf añdherā hai har taraf udāsī hai

    shahr-e-pur-ziyā meñ bhī raushnī zarā hai

    jo sadā.eñ detā hai kūcha-e-nigārāñ meñ

    ajnabī nahīñ koī shakl āshnā hai

    kyā ḳhizāñ phir mausam aa gayā gulistāñ meñ

    kyoñ guloñ ke chehroñ par itnī bad-havāsī hai

    dekhiye ḳhudā jaane kis tarah guzartī hai

    baat yuuñ to kahne ko kuchh nahīñ zarā hai

    sādgī partav hai merā har lab-o-lahja

    aap kaise kahte haiñ ye ġhazal siyāsī hai

    saaf kartī rahtī hai sūkhe ḳhār-o-gul aksar

    dosto nasīm-e-sub.h mausamoñ daasī hai

    zāviye nigāhoñ ke merī samt haiñ 'hairat'

    ḳhāmushī meñ poshīda un ik hayā hai

    bad-nasib banjara us zamin ka basi hai

    jo zamin ulfat ki muddaton se pyasi hai

    har taraf andhera hai har taraf udasi hai

    shahr-e-pur-ziya mein bhi raushni zara si hai

    jo sadaen deta hai kucha-e-nigaran mein

    ajnabi nahin koi shakl aashna si hai

    kya KHizan ka phir mausam aa gaya gulistan mein

    kyon gulon ke chehron par itni bad-hawasi hai

    dekhiye KHuda jaane kis tarah guzarti hai

    baat yun to kahne ko kuchh nahin zara si hai

    sadgi ka partaw hai mera har lab-o-lahja

    aap kaise kahte hain ye ghazal siyasi hai

    saf karti rahti hai sukhe KHar-o-gul aksar

    dosto nasim-e-subh mausamon ki dasi hai

    zawiye nigahon ke meri samt hain 'hairat'

    KHamushi mein poshida un ki ek haya si hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now