bad-nasib banjara us zamin ka basi hai
bad-nasīb banjāra us zamīñ kā baasī hai
jo zamīn ulfat kī muddatoñ se pyāsī hai
har taraf añdherā hai har taraf udāsī hai
shahr-e-pur-ziyā meñ bhī raushnī zarā sī hai
jo sadā.eñ detā hai kūcha-e-nigārāñ meñ
ajnabī nahīñ koī shakl āshnā sī hai
kyā ḳhizāñ kā phir mausam aa gayā gulistāñ meñ
kyoñ guloñ ke chehroñ par itnī bad-havāsī hai
dekhiye ḳhudā jaane kis tarah guzartī hai
baat yuuñ to kahne ko kuchh nahīñ zarā sī hai
sādgī kā partav hai merā har lab-o-lahja
aap kaise kahte haiñ ye ġhazal siyāsī hai
saaf kartī rahtī hai sūkhe ḳhār-o-gul aksar
dosto nasīm-e-sub.h mausamoñ kī daasī hai
zāviye nigāhoñ ke merī samt haiñ 'hairat'
ḳhāmushī meñ poshīda un kī ik hayā sī hai
bad-nasib banjara us zamin ka basi hai
jo zamin ulfat ki muddaton se pyasi hai
har taraf andhera hai har taraf udasi hai
shahr-e-pur-ziya mein bhi raushni zara si hai
jo sadaen deta hai kucha-e-nigaran mein
ajnabi nahin koi shakl aashna si hai
kya KHizan ka phir mausam aa gaya gulistan mein
kyon gulon ke chehron par itni bad-hawasi hai
dekhiye KHuda jaane kis tarah guzarti hai
baat yun to kahne ko kuchh nahin zara si hai
sadgi ka partaw hai mera har lab-o-lahja
aap kaise kahte hain ye ghazal siyasi hai
saf karti rahti hai sukhe KHar-o-gul aksar
dosto nasim-e-subh mausamon ki dasi hai
zawiye nigahon ke meri samt hain 'hairat'
KHamushi mein poshida un ki ek haya si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.