bad-qismati pe zor mera chal nahin raha
bad-qismatī pe zor mirā chal nahīñ rahā
ye hādisa kisī bhī tarah Tal nahīñ rahā
aaseb ke vo saa.e musallat haiñ in dinoñ
āñkhoñ meñ ek ḳhvāb talak pal nahīñ rahā
jān-e-bahār ab ye takalluf bhī chhoḌ de
jab maiñ tirī nigāh meñ avval nahīñ rahā
kyā ḳhuub mo'jiza hai ki sho'la-badan ke maiñ
pahlū meñ aa gayā huuñ magar jal nahīñ rahā
is mas.ale kā hal to faqat aap the huzūr
ab aap kah rahe haiñ koī hal nahīñ rahā
she'r-o-suḳhan bhī band hai pichhle baras se aur
is dil kā kārobār bhī ab chal nahīñ rahā
'hamza-bilāl’ saḳht hai aisā balā kā saḳht
sab kuchh gañvā ke haath talak mal nahīñ rahā
bad-qismati pe zor mera chal nahin raha
ye hadisa kisi bhi tarah Tal nahin raha
aaseb ke wo sae musallat hain in dinon
aankhon mein ek KHwab talak pal nahin raha
jaan-e-bahaar ab ye takalluf bhi chhoD de
jab main teri nigah mein awwal nahin raha
kya KHub mo'jiza hai ki sho'la-badan ke main
pahlu mein aa gaya hun magar jal nahin raha
is masale ka hal to faqat aap the huzur
ab aap kah rahe hain koi hal nahin raha
she'r-o-suKHan bhi band hai pichhle baras se aur
is dil ka karobar bhi ab chal nahin raha
'hamza-bilal’ saKHt hai aisa bala ka saKHt
sab kuchh ganwa ke hath talak mal nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.