baDa bechain sa rahta hun ab to
baḌā bechain sā rahtā huuñ ab to
maiñ kyā kyā sochtā rahtā huuñ ab to
hai ḳhāmoshī rahī fitrat mirī par
musalsal boltā rahtā huuñ ab to
huā hai aañkh se ojhal ujālā
añdhere se ghirā rahtā huuñ ab to
miyāñ andar hī andar mar chukā huuñ
abas phankārtā rahtā huuñ ab to
havā se maiñ kabhī kartā thā bāteñ
aTārī meñ paḌā rahtā huuñ ab to
maiñ bachcha to nahīñ abrār lekin
uchhaltā kūdtā rahtā huuñ ab to
baDa bechain sa rahta hun ab to
main kya kya sochta rahta hun ab to
hai KHamoshi rahi fitrat meri par
musalsal bolta rahta hun ab to
hua hai aankh se ojhal ujala
andhere se ghira rahta hun ab to
miyan andar hi andar mar chuka hun
abas phankarta rahta hun ab to
hawa se main kabhi karta tha baaten
aTari mein paDa rahta hun ab to
main bachcha to nahin abrar lekin
uchhalta kudta rahta hun ab to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.