baDa kumba hai chhoTi degchi hai
baḌā kumba hai chhoTī degchī hai
aur us par bhuuk muñh khole khaḌī hai
jidhar tū ho udhar hī dekhtī hai
hamārī aañkh bhī sūraj-mukhī hai
mire maulā abhī sūraj na nikle
koī tahrīr shabnam likh rahī hai
koī nusḳha na hogā kārgar ab
mohabbat kaam apnā kar chukī hai
'ināyat par kisī kī jī rahe haiñ
hamārī zindagī kyā zindagī hai
mirī dil-jūī kī ḳhātir kisī ne
dahaktī aag dāman meñ rakhī hai
zamīñ meñ bhī utar jā.egā sūraj
abhī to barf kī chādar haTī hai
faqat ḳhushbū nahīñ titlī kī chāhat
vo phūloñ kā lahū bhī chāTtī hai
nazar aatā nahīñ kuchh bhī kisī ko
bazāhir raushnī hī raushnī hai
baDa kumba hai chhoTi degchi hai
aur us par bhuk munh khole khaDi hai
jidhar tu ho udhar hi dekhti hai
hamari aankh bhi suraj-mukhi hai
mere maula abhi suraj na nikle
koi tahrir shabnam likh rahi hai
koi nusKHa na hoga kargar ab
mohabbat kaam apna kar chuki hai
'inayat par kisi ki ji rahe hain
hamari zindagi kya zindagi hai
meri dil-jui ki KHatir kisi ne
dahakti aag daman mein rakhi hai
zamin mein bhi utar jaega suraj
abhi to barf ki chadar haTi hai
faqat KHushbu nahin titli ki chahat
wo phulon ka lahu bhi chaTti hai
nazar aata nahin kuchh bhi kisi ko
bazahir raushni hi raushni hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.