baDa maza ho jo ye mojiza bhi ho jae
baḌā maza ho jo ye mo'jiza bhī ho jaa.e
vo sab kā ho ke rahe aur mirā bhī ho jaa.e
tamām pichhlā baras bevafā.iyoñ meñ gayā
to ḳhair ab ke baras kuchh vafā bhī ho jaa.e
vo ek but jo mire zehn ne tarāshā hai
'ajab nahīñ ki kisī din ḳhudā bhī ho jaa.e
nahīñ haiñ yuuñ bhī bahut kam ye qurbatoñ ke 'azāb
agar kaho to zarā fāsla bhī ho jaa.e
is intizār meñ rahtī hai ḳhāmushī-e-hayāt
ki shahr-e-dil meñ koī hādisa bhī ho jaa.e
baDa maza ho jo ye mo'jiza bhi ho jae
wo sab ka ho ke rahe aur mera bhi ho jae
tamam pichhla baras bewafaiyon mein gaya
to KHair ab ke baras kuchh wafa bhi ho jae
wo ek but jo mere zehn ne tarasha hai
'ajab nahin ki kisi din KHuda bhi ho jae
nahin hain yun bhi bahut kam ye qurbaton ke 'azab
agar kaho to zara fasla bhi ho jae
is intizar mein rahti hai KHamushi-e-hayat
ki shahr-e-dil mein koi hadisa bhi ho jae
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 36)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 38)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.