baDa muKHtalif sa mere harif ye dao tha
baḌā muḳhtalif sā mire harīf ye daao thā
mire dosh par tirī uñgliyoñ kā dabāo thā
mirī aane vaalī tamām umr kā ghaav thā
vo jo shaam paḌne se peshtar kā paḌāv thā
kiye aise duniyā ne tabsire banī dāstāñ
vo jo milnā-julnā hamārā sīdhe subhāv thā
jise apne hisse ke dukh na aa.e sambhālne
use sab ke talvoñ ke ḳhaar chunñe kā chaav thā
vahī naam thā vahī uñgliyāñ thiiñ vahī havā
vahī ret thī vahī sāhiloñ kā kaTāv thā
vo bajā.e ḳhisht rusūm duniyā kī zad pe thī
thī na.ī kanīz na.ī tarah kā chunāv thā
jale bādbān to aks paanī meñ hañs diye
ise Duub jaane do is kā naam bhī naav thā
kabhī raushnī kā tilism TuuTe to dekhnā
ki 'sadaf' ye nuur nahīñ thā zard alaav thā
baDa muKHtalif sa mere harif ye dao tha
mere dosh par teri ungliyon ka dabao tha
meri aane wali tamam umr ka ghaw tha
wo jo sham paDne se peshtar ka paDaw tha
kiye aise duniya ne tabsire bani dastan
wo jo milna-julna hamara sidhe subhaw tha
jise apne hisse ke dukh na aae sambhaalne
use sab ke talwon ke KHar chunne ka chaw tha
wahi nam tha wahi ungliyan thin wahi hawa
wahi ret thi wahi sahilon ka kaTaw tha
wo bajae KHisht rusum duniya ki zad pe thi
thi nai kaniz nai tarah ka chunaw tha
jale baadban to aks pani mein hans diye
ise Dub jaane do is ka nam bhi naw tha
kabhi raushni ka tilism TuTe to dekhna
ki 'sadaf' ye nur nahin tha zard alaw tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.