badal gai hai faza nile aasmanon ki
badal ga.ī hai fazā niile āsmānoñ kī
bahut dinoñ meñ khulīñ khiḌkiyāñ makānoñ kī
bas ek baar jo lañgar uThe to phir kyā thā
havā.eñ taak meñ thiiñ jaise bādbānoñ kī
koī pahāḌ rukā hai kabhī zamīñ ke baġhair
har ek bojh panah chāhtā hai shānoñ kī
to ġhāliban vo hadaf hī hadoñ se bāhar thā
ye kaise TuuT ga.iiñ Doriyāñ kamānoñ kī
jo hai vo kal ke savāloñ ke intizār meñ hai
ye zindagī hai ki hai raat imtihānoñ kī
badal gai hai faza nile aasmanon ki
bahut dinon mein khulin khiDkiyan makanon ki
bas ek bar jo langar uThe to phir kya tha
hawaen tak mein thin jaise baadbanon ki
koi pahaD ruka hai kabhi zamin ke baghair
har ek bojh panah chahta hai shanon ki
to ghaaliban wo hadaf hi hadon se bahar tha
ye kaise TuT gain Doriyan kamanon ki
jo hai wo kal ke sawalon ke intizar mein hai
ye zindagi hai ki hai raat imtihanon ki
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 25)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.