badal jaega sab kuchh ye tamasha bhi nahin hoga
badal jā.egā sab kuchh ye tamāshā bhī nahīñ hogā
nazar aa.egā vo manzar jo sochā bhī nahīñ hogā
har ik lamha kisī shai kī kamī mahsūs bhī hogī
kahīñ bhī duur tak koī ḳhalā sā bhī nahīñ hogā
vo āñkheñ bhī nahīñ hoñgī kaheñ jo an-kahī bāteñ
havā meñ sabz āñchal kā vo lahrā bhī nahīñ hogā
simaT jā.egī duniyā sā.at-e-imroz meñ ik din
shumār-e-zīst meñ dīroz o fardā bhī nahīñ hogā
magar qad roz o shab kā dekh kar hairān sab hoñge
madār apnā zamīñ ne garche badlā bhī nahīñ hogā
ajab vīrāniyāñ ābād hoñgī qarya-dar-qarya
shajar shāḳhoñ pe chiḌiyoñ kā baserā bhī nahīñ hogā
badal jaega sab kuchh ye tamasha bhi nahin hoga
nazar aaega wo manzar jo socha bhi nahin hoga
har ek lamha kisi shai ki kami mahsus bhi hogi
kahin bhi dur tak koi KHala sa bhi nahin hoga
wo aankhen bhi nahin hongi kahen jo an-kahi baaten
hawa mein sabz aanchal ka wo lahra bhi nahin hoga
simaT jaegi duniya saat-e-imroz mein ek din
shumar-e-zist mein diroz o farda bhi nahin hoga
magar qad roz o shab ka dekh kar hairan sab honge
madar apna zamin ne garche badla bhi nahin hoga
ajab viraniyan aabaad hongi qarya-dar-qarya
shajar shaKHon pe chiDiyon ka basera bhi nahin hoga
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 25)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.