badalte hain yahan manzar safar ke
badalte haiñ yahāñ manzar safar ke
kahāñ hote haiñ sāthī umr-bhar ke
kisī ke hijr se chhupte chhupāte
ham āḳhir ho ga.e dīvār-o-dar ke
havā.eñ sahmī sahmī aa rahī haiñ
ajab hālāt haiñ kuchh ab to ghar ke
kabhī jo aap kī bāñhoñ meñ guzre
vo mausam the vafā kī rah-guzar ke
mirī āñkhoñ meñ sāvan jhūmte haiñ
kabhī dekho nazāre tum idhar ke
nahīñ jachtā hai ab koī nazar meñ
'kiran' ne dekhe vo jaadū nazar ke
badalte hain yahan manzar safar ke
kahan hote hain sathi umr-bhar ke
kisi ke hijr se chhupte chhupate
hum aaKHir ho gae diwar-o-dar ke
hawaen sahmi sahmi aa rahi hain
ajab haalat hain kuchh ab to ghar ke
kabhi jo aap ki banhon mein guzre
wo mausam the wafa ki rah-guzar ke
meri aankhon mein sawan jhumte hain
kabhi dekho nazare tum idhar ke
nahin jachta hai ab koi nazar mein
'kiran' ne dekhe wo jadu nazar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.